Agar aap PayPal ke zariye payout paana chahte hain, to aapse hmare payout provider dwara Tipalti par apna account register karne ke liye kahaa jayega (yeh aapke pahale PayPal payment ke liye zaruri hai)
1. Suraksha jaanch poori hone ke baad aapko ek invitation email milega. Aap "Tipalti payout portal ka invitation" waala email dekhein. Agar aapko apne inbox mein yeh email nahi dikhta hai to apna spam folder dekhein.
Tipalti par registration ke liye diye gaye link ko follow karein.
2. Registration link kholne ke baad, aapse apna password aur suraksha se juda sawaal/jawaab daalne ko kahaa jaayega (agar aap apna Tipalti ka password badalna chahte hain, to yeh zaroori hai)
3. Aapke pehle login ke baad, Tipalti par aapko apna 2FA - 2 Factor Authentication poora karna hoga. Iske liye aapke mobile number ki zaroorat padegi. Aapko ek code ke zariye apne account ko verify karna hoga, yeh code aapke mobile par bheja jaayega.
4. Tipalti Supplier Hub mein, Payment Details tab par, aapko apne contact ki details daalni hongi.
(Yeh dhyaan rakhein ki Honeygain ki tarah, PayPal poori duniya me kaam nahi karta, zyaada jaankaari ke liye kripya Tipalti Payment coverage ko dekhein)
Agar Tipalti par registration ke dauraan aapko yeh error message milta hai ki "aapke PayPal account me diya gaya naam aapki or se diye naam se mel nahin khaata", kripya is link par jaayein: Error: Account ki jaankaari PayPal ki or se validate nahin ki jaa saki.
5. Payment ka Tareeka me, aapko apni currency aur apne PayPal account ka email address dena hoga.
Yeh dhyaan rakhein ki iske liye kuch shulk lagaaya jaa sakta hai: Payout ka shulk kya hota hai?
6. Bas ho gaya! Aapko 2-3 kaamkaaji dino mein apna payout mil jayega.
Kabhi-kabhar aapko milne se pehle hi aapka payout namanzoor ho sakta hai. Agar mujhe payout nahi milta hai to mujhe kya karna chahiye?