Kabhi-kabhar aapko milne se pehle hi aapka payout namanzoor ho sakta hai. Aapka payout kyun poora nahi ho saka yeh jaan ne aur use paane ke liye yanha kuch step diye gaye hain.
-
PayPal
- Tipalti account ke liye registration poora nahi hua hai
- Account ki jaankaari PayPal ki or se verify ki jaa sakti hai
- Apne PayPal ke payout ka status kaise dekhein
- Yeh PayPal account verify nahi hua hai
- PayPal account ek aise desh me register kiya gaya hai, janha raashi paane ki suvidha nahi hai
- PayPal account ki suvidhayein simit hain
-
JumpTokens
Tipalti account ke liye registration poora nahi hua hai
kripaya dhyaan dein ki yeh sirf PayPal ke bhugtaan par laagu hota hai. Agar aap pehli baar payout ka anurodh kar rahe hain, toh aapke anurodh karne ke 1 kaamkaaji din ke anadar aapko Tipalti website ke registration link ke sath ek email milega. Registration poora karna aur apne PayPal account se judi sabhi aehem jaankaari dena bahut jaruri hain.
Agar aapko lagta hain ki aapne apne Tipalti account ke liye registration ka process poora nahi kiya hain, toh kripaya yanha apne Tipalti account mein log in karein aur registration poora karein.Tipalti account here and complete the registration.
Account ki jaankaari PayPal ki or se verify ki jaa sakti hai
Is error message ka matlab hai ki aapne apna naam aur kulnaam galat dala hai. Apne PayPal account par pehla naam ya akhiri naam kya hain yeh dekhne ke liye, ye steps poore karein:
1. PayPal mein log in kare
2. Settings ya uper daayin aur " Gear "apr click karein
3. "Seller Tools" Tab par click karein
4. Niche ki aur scroll karke " Bhugtaan Paayein " section tak jaayein aur invoice line mein "Manage Karein" par click karein.
5. Neele rang ke "Ek Template Banayein" button par click karein.
6. Daayen hisse me jahaan aapko aapna naam, email aur pata dikhayi deta hai wanha nichle arrow par click karein
7. "Business ki jaankaari mei badlaav karein" ke link par click karein
Apne PayPal ke payout ka status kaise dekhein
Agar aap Honeygain Dashboard ko khol kar Transaction History page par jaate hain, toh aapko screen ke daayin aur aapke haaliya bhugtaan aur payout ka status dikhaayi dega. Agar aapke PayPal payout me yeh "Poora Hua" dikha raha hai, to iska matlab hai ki yeh payout Honeygain ki ore se manzoor ho gaya hai aur process karne ke liye Tipalti (is seva ka istemaal hum zyada PayPal payout ke liye karte hain) ko bhej diya gaya hai. Aap apne Tipalti account mein log in karke apne PayPal payout ka status yahandekh sakte hain.
Agar "namanzoor" likha aata hai, toh iska matlab hain ki kuch gadbad hui hai aur aapka PayPal payout process nahi ho saka hai. PayPal ke payout namanzoor hone se jude status ki kuch sabse aam wajahein yahan di gayi hain:
Yeh PayPal account verify nahi hua hai
Apne PayPal account ko verify karna zaruri hai kyunki yeh kiye bina aap PayPal ki suvidhaaon ka puri tarah se istemaal nahi kar sakte aur naa hi Honeygain se payout paa sakte hain. Apne PayPal account ko kaise verify karna hai, uske nirdesh yahandekh sakte hain.
Apne PayPal account ko verify karne ke baad, yahaniss link ka istemaal karke Honeygain support se sampark karein aur humein batayein ki aapka PayPal account pahle verify naa hone ki wajah se aapka payout namanzoor ho gaya tha, par ab yeh verify ho chuka aur aap chhahte hain ki hum aapka payout firse Tipalti ko submit karein.
PayPal account ek aise desh me register kiya gaya hai, janha raashi paane ki suvidha nahi hai
Honeygain se ulat, Tipalti sabhi desho mein kaam nahi karta aur duniya mein har kisi ko PayPal payout nahi bhej sakta hai. Agar aapka payout namanzoor hone par Tipalti error ka yeh message dikhata hai, toh badkismati se isme zyada kuch nahi kiya jaa sakta hai aur aap apne PayPal account me PayPal payout nahi paa sakte hain. PayPal payout jin deshon me mumkin hain unki ek list yahandi gayi hai. Halaanki, hum abhi bhi sabhi credit aapke Honeygain account par wapaas kar sakte hain aur JumpTokens ke zariye aapka payout process kar sakte hain. yahandiye gaye link ke zariye humari support team se sampark karke humein iski jaankaari dein.
PayPal account ki suvidhayein simit hain
PayPal account ki suvidhayein simit hone ka matlab hai ki PayPal ko aapke acccount ko lekar sandeh tha. Aisa isliye ho sakta hai kyunki PayPal ko lagta ho ki bina aapki ijaazat ke koi aapke account ka istemaal kar raha hai, aapka PayPal account niyamak sharton ka paalan nahi karta hai; aapke account par saamanya se zyaada raashi ka claim aur/ya chargeback hai aur agar aapke PayPal account me hone wale len-den ki sankhya mein achanak badlaav hua hai. PayPal account ki suvidhayein simit hone ki is samasyaa ka samadhaan karne ke liye, kripayayeh guidedekhein.
Apne PayPal account ki samasyaa ko thik karne ke baad, yahan diye gaye link ka istmaal karke humari support team se sampark karein aur apne payout ko firse Tipalti ko submit karne ke liye kahein.
Apne Honeygain account se link kiye gaye PayPal account ko badalne ke liye, kripaya is link ka istemaal karke apne Tipalti account me sign in karein aur fir badlaav karein.
JumpTokens
Agar aapne Honeygain ke zariye bhugtaan ka anurodh kiya hai aur JumpToken (JMPT) ko payout ki vidhi ke taur par chunaa hai, to payout ko wallet me dikhai dene mein ek saptaah tak ka samay lag sakta hai, kripaya intezaar karein.
Agar itne samay ke baad bhi payout wallet mein nahi dikhayi deta hai, toh kripaya yeh karein:
1. kripaya dekhein ki aapne apne wallet me Binance Smart Chain (BSC) network jod liya hai. Ise kaise jodna hai, iske nirdesh aapko yahanmil sakte hain.
2. Pakka karein ki aapne JMPT token ko apne wallet me import kar liya hai. Ise kaise jodna hai, iske nirdesh aapko yahanmil sakte hain.
Agar aap BSC network ko wallet mein jod chuke hain aur aapne JMPT token ko bhi wallet mein import karliya hai lekin bhi payout dikhayi nahi de raha hain, to kripya aage aur madad paane ke liye yahaniss link ka istemaal karke humari sahaayata team se sampark karein.