Halaanki payout ka process dikhne mein asaan lagta hai, lekin fir bhi hum aapko payout kaise hota hai iski vistrit jaankaari denge, taaki aapko aapki kamaayi bina kisi chintaa ke mil sake.
PayPal ke payout ke liye:
- Pakka kar lein ki aap payout ki seema tak panhuch gaye hon ($20 ya 20 000 credit).
- Payout button ko dabayein aur PayPal chunein.
- Suraksha ehtiyaat ke taur par, aapko apne email par milaa ek khaas verification code daalne ke liye kahaa jaayega.
- Aapko jo code milaa hai, use daalne ke baad, aapko PayPal payout ke liye ek invitation email milega aur humare payout provider Tipalti par register karne ke liye diye gaye instruction ko dhyaan se follow karein.
- Bas fir befikar rahein aur payout paane ke liye kuch kaamkaaji dino tak intezaar karein! PayPal payout ko aapke account mein aane mein 2-3 kaamkaaji dino ka samay lagega.
Agar aapka PayPalpayout namanzoor ho jata hai to kripaya iss linkpar jaa kar iske baare mein humara lekh dekhein. Agar aapka payout nahi panhuch paata hain to aapko ek email milega.
JMPT payout ke liye:
- Pakka kar lein ki aap apne Honeygain wallet ($20 ya 20 000 credit) mein payout ki seema tak panhuch gaye hon.
- Payout button ko dabayein aur JMPT chunein.
- Iske baad aapse apna BSC network samarthit wallet pata daalne ke liye kahaa jaayega. Kripaya aap jo wallet de rahe hain, use acche se jaanch lein, kyunki ek baar confirm karne ke baad ise badlaa nahi jaa sakta hai.
- Suraksha ehtiyaat ke taur par, aapko apne email par milaa ek khaas verification code daalne ke liye kahaa jaayega.
- Bas fir befikr rahein aur wallet mein apne payout ke aane ke liye 1-2 kaamkaaji dino tak intezaar karein.