Dhyaan dein: Jaise hi aap JumpTask wallet mein kamai karna shuru karenge, wese hi JumpTask dashboard par dikhai dene wala messege "Pehle app ke sath shuruaat karein - Honeygain" hat jaayega, aisa Honeygain aur JumpTask account ko link karne ke 5 minute ke andar ho jana chhahiye.
Honeygain par apne JumpTask wallet mein internet bandwidth share karne ke liye JumpTokens kamana shuru karne ke liye, aapko apne Honeygain account par JumpTask mode chaalu karna hoga. yahan jaane ki isse kese karna hai:
- Kisi bhi device par Honeygain web dashboard ya apne Android device par Honeygain applicaton kholein.
- Sabse oopar aapko ek toggle switch dikhayi dega jisme default se hi Honeygain chuna hua hoga. JumpTask mode par switch karne ke liye is par tap karein.
- Ek popup window aayegi. "Shuru karein!" par click karein.
- Ab aapko apne wallet ke uss sarvajanik pate mein jana hoga jise aap JumpTask ke sath istemaal karna chhahte hain. Agar aapke paas yeh nahi hai, toh iss guide dekhein jisme bataya gaya hai ki JumpTask platform se samarthit BSC (Binance Smart Chain) wallet kese banayein.
- Aapse ek 2FA code daalne ke liye kaha jaayega jo aapko apne Honeygain registration email par milega.
- Iske baad, "JumpTask karein" par click karein.
- Bas ho gaya! Ab aapke Honeygain account mein JumpTask mode chaalu ho gaya hai. Agar aapko thik se pata nahi hai ki JumpTask mode chaalu hone par kya hota hai, toh zyada jaankaari ke liye yahan iss article ko dekhein.