JumpTask mode Honeygain ka istemal karte huwe kamaayi ka ek aur tareeka hai. Apne Honeygain account ke dashboard se JumpTask mode ko chaalu karne ke baad, aap jo bhi kamaayi karenge wo Honeygain credit ki jagaha JumpTokens (JMPT) me milegi.
Ye JumpTokens aapke JumpTask wallet me jud jaayenge, jahaan se aap inhe anya crypto ya fiat currency me badal paayenge.
Is baat ka dhyaan rakhein ki JumpTask mode me switch karna koi sthaayi faislaa nahi hai – agar aap chahein to aap ise fir se "paraamparik" Honeygain mode me badal sakte hain.
Apne Honeygain account me JumpTask mode ko chaalu karne se judi zyaada jaankaari aapko yahan mil sakti hai.