MetaMask ek web browser extension aur mobile application hai, jo cryptocurrency wallet ki tarah kaam karta hai. Ise JumpTokens pane ke liye istemaal kiya ja sakta hai, jo apko JumpTask mode se Honeygain ke zariye internet bandwidth share karne par milte hain. Khudh ko JumpTask Dashboard par authenticate karwane le liye bhi aapko iski zarurat padti hai.
Agar aapke web browser ya mobile device par MetaMask install nahi kiya hua hai, toh kripaya offical MetaMask documentation par jayein, jisme ise apne web browser aur mobile device par install aur set up karne ke tareeke bataya gaya hai yahan.
MetaMask install aur confirgure karne ke baad, aap neeche screeshot me batayi gayi jagah par tap karke apni public wallet key (jise wallet ID bhi kahate hain) pa sakte hain (aur use clipboard par copy kar sakte hain):
Apne Honeygain account par pahali baar JumpTask mode ko set up karne liye aapko is ID ki zarurat hogi.
Aapko JumpToken(JMPT) ko khud apne Metamask wallet me import karna hoga, taki yah token aapke wallet me currency ke taur par dikhe. Ayesa karne ka tareeka aap yahan dekh sakte hain.