Aisa anuthe taur par hi hota hai jab humara application humare graahkon ke sath internet bandwith share karna band kar deta hai. Aur natijan user ko uske liye koi credit nahi milte hain. Android jis tarah se background sevaon ko manage karta hai, uski wajah se humare application ki andruni sevaayen thap pad jaati hain aur application kaam nahi karta aur kabhi-kabhi appliction poori tarah se hi thap pad jata hai. Halaanki, Iska ek tarika hai jisse aap humare application ko restart kar sakte hain aur humare graahkon ke sath apna internet bandwith share karna jaari rakh sakte hai aur yeh karke credit ikkathe kar sakte hain. Lekin uske pehle yeh pakka kar lein ki aapne apne account mein log in kar rakha ho, kyunki agar aapne aisa nahi kiya hoga, toh in step ko karne ke baad aapke credit gayab ho sakte hain, agar aapne log in kar rakha hai toh aapke credit nahi hatenge aur un par koi asar nahi padega:
- Honeygain application dhundhein aur thodi der ke liye iss par tap karein (bas apni ungli ko application par rakhein aur kuch der ke liye dabaye rakhein jab tak ki us application ka menu dikhai naa de).
- Menu ke khulne ke baad, ‘App ki Jaankaari’ par tap karein.
- Force stop’ par tap karein.
- Aapse puchha jaayega ki kya aap vaakai mein application ko force stop karna chhahte hain. Haan’ par tap karein.
- Iske baad shuruaati App ki jaankaari waale menu par jaayein aur Storage & cache par tap karein.
- Iske baad, ‘Storage clear karein’ par tap karein.
- Iske baad aapse puchha jaayega ki kya aap vaakai mein application ke data ko mitana chhahte hain. Haan’ par tap karein.
- Iske baad humari application kholein. Aapse fhir se log in karne ke liye kaha jaayega aur ab application mein aapka internet bandwidth share hona chhahiye.
Kripya Dhyaan dein, diye gaye screenshot aur samadhaan ke step aapke device par thode alag lag sakte hain kyunki Android ke kai alag-alag version uplabdh hain.