"Network overused” error ka matlab hai ki ek hi network se 1 se zyada device active Honeygain application se connected hai. Yeh Honeygain network par ek network/IP par supported devices ki adhikatam sankhya hai. Error ko lekar pareshaan na hon, kyonki yeh error message us hi device par aata hai agar aapki ek ya zyada device network se kisi wajah se diconnect ho jati hai. Halanki, iss error ko yahan diye gaye tareekon se sahi kiya ja sakta hai:
- Pakka karen ki aapke network/IP se 1 device se zyada connected nahin ho.
- Apne zyada istemaal kiye jane waley devices ko kisi bhi network/IP se connect karein, jaise mobile network ya koi bhi WiFi connection se.
- Apne network se jude kisi bhi unauthorized device ka pata lagane ke liye WiFi router ke zariye judi devices ki list dekhen
- Dhayaan rakhen ki agar aapko public network ya kisi tarah ke VPN connection se connect hone ke dauraan yeh gadbadi milti hai , to aise kai users ho sakte hain jo Honeygainka istemaal karte hain.
- Agar aapko dynamic tareeke se badalte hue IP address ke saath assign kiya gaya hai, to apne router ko restart karne ki koshish karein, kyonki isse aapka ISP aapko ek alag IP address assign kar sakta hai jise unke doosre grahakon ke saath share nahin kiya ja raha ho.
Agar diye gaye sujhaavon se aapki mushkil door nahin hoti hai aur aap sunishchit hain ki aap device number ki seema ke andar hain to ho sakta hai ki aapko aapke ISP dwara istemaal kiya gaya/istemaal mein hai IP assign kiya gaya hai. Chunki duniya bhar mein IPv4 addresses ki sankhya simit ai aur free IPv4 (upayog nahin kie gae) addresses lagbhag khatam ho rahe hain, kuch ISP ek se zyada gragakon ko ek hi IP address assign kar rahi hai aur ho sakta hai yahi aapke account ke saath bhi hua ho. Agar ek hi IP address kai logon ko assign kiya gaya hai aur wo log Honegain network ka bhi istemaal kar rahe, to network ke zyada istemaal hone wala error message dikhega, kyonki ek hi IP address par kai account se do se bhi zyada device connected hongen.
Aise mein aapko seedhe apne ISP se sampark karna hoga aur ek naya IP address maangna hoga jo ki bilkul naya ho aur kisi ko assign nahin kiya gaya ho.