Error ke is message ka matlab hai ki network connectivity ya configuration se judi koi samasya hai. aapke device aur router/ISP ke beech. Iska yeh matlab bhi ho sakta hai ki apke device aur router/ISP ke beech network kharaab hai.
- Pakka karein ki aapke device me internet connection ho.
- Honeygain application ko fir se install karke dekhein.
- Apne device ko restart karke dekhein.
- Apne device ko ethernet cable ke zariye router se connect karke dekhein.
Agar upar diya hua koi upay kaam na kare, toh kripaya IPv6 support ko band karein aur DNS ki Settingsmein badlaav karke dekhein.
Agar aapke Windows device par samasya bani rehti hai, toh kripaya application ke data ko mita kar dekhein.
IPv6 support ko band karna
Windows
- Start menu me jaakar Control Panel kholein ya Search feature ka istemal karein.
- Network aur Sharing Center kholein
- Adapter ki settings mein badlaav karein chunein
- Apne adapter par right-click karein aur fir Properties par click karein. Hamaare maamle mein, yeh Wi-Fi adapter hai.
- Scroll karke Internet Protocol Version 6 (TCP/IPv6) tak jaayein. Sahi ka nishaan hatayein.
- OK par click karein aur Honeygain application ko shuru karein.
Android
(Dhyaan dein: Aapke device par is se alag step ho sakte hain. Iss guide ko sabse naye Samsung One UI 2.0 ka istemal karke banaya gaya tha.
Agar aap Android 4.4 ka istemaal kar rahe hain aur Honeygain application mein yeh error message dikhata hai, toh aisa ho sakta hai ki aapka system Honeygain application me istemaal ki jaane wali (aur jo zaruri hai) library ke anukool na ho. Is maamle me zyada kuch nahi kiya ja sakta hai. Aapka device kaafi purana hai aur Honeygain us par kaam nahi karta hai.
- Apne device ki Settings mein jayein aur Connections par tap karein.
- Mobile networks par tap karein.
- Access Point Names par tap karein.
- Apne mobile network provider par tap karein.
- Scroll karke APN protocol aur APN roaming protocol connection tak jaayein. Dekhein ki ve dono IPv4 par set kiye hue ho. Iske baad Honeygain kaam karna chahiye.
DNS ki Setting me badlaav karna
Windows
- Start menu me jaakar Control Panel kholein ya Search feature ka istemal karein.
- Network aur Sharing Center kholein
- Adapter ki settings mein badlaav karein chunein
- Apne adapter par right-click karein aur fir Properties par click karein. Hamaare maamle mein, yeh Wi-Fi adapter hai.
- Scroll karke Internet Protocol Version 4 (TCP/IPv4) tak jaayein aur Properties par click karein.
- "Neeche diye gaye DNS server address ka istemal karein" chunein aur iaisa ki neeche screenshot mein dikhaya gaya hai, "Pasandida DNS server" aur "Vaikalpik DNS server" set karein.
- Pahle OK par click karein aur fir OK par fir se click karein.
Android
Google Play Store se Android par ek 1.1.1.1 application download karke install kar sakte hain, jo aapki DNS setting me Honeygain ke sath kaam karne ke liye badlaav kar dega. Aap Google Play Store se 1.1.1.1 yahanse download kar sakte hain.
Application ke data ko mitana
- Sabse pahale aapko Honeygain Windows application par apne Honeygain account se sign out karna hoga. Taskbar me Honeygain application par right-click karein aur fir "Honeygain khole" chunein.
- Honeygain applicaiton khul jana chahiye. Upar dahinee or maujood Profile icon par click karein
- Logout par click karein
- Fir se taskbar me Honeygain application par daahine button se click karein aur fir "Honeygain ko band karein" chunein.
- Start kholen aur Run program kholen, ya ise khojne ke liye search vikalp ka istemaal karein aur ise kholen.
- Is line ko paste karein:
%localappdata%
- Honeygain folder ko mitayein.
- Application ko fir se install karein.