Windows
- Sabse pahale apne Windows PC (Windows 10 and Windows 11) par Settings application kholein. Uske baad Apps section par jayein aur fir Apps & features par jayein.
- Aur fir Honeygain application ko dhundh kar Uninstall par click karein
- Uninstall wizard aapke device se Honeygain applicaton ko hata dega.
- Pahle Search par click karein, fir Run application ko dhundh kar use kholein
- %appdata% likhein aur OK par click karein
- Honeygain folder ko hataein
macOS
- MacOS device se Honeygain ko poori tarah se hataane ke liye hum is behtareen aur muft application AppCleaner ka istemaal karne ki salah dete hain.
- Apne MacOS device par AppCleaner ko download aur install karne ke baad, yeh pakka karein ki aapne apne device par Honeygain application ko band kar diya ho.
- AppCleaner application kholein aur apne macOS device par install kiye hue application ki list kholne ke liye button par click karein.
- Honeygain application dhundhein, us par click karein aur fir Remove par click karein. AppCleaner Honeygain ko uninstall kar dega aur iske ke baad iski bachi hui baaki sabhi file ko bhi uninstall kar dega.
Android aur iOS device
Aap Android aur iOS device se Honeygain application ko doosre sabhi application ki tarah hi uninstall kar sakte hain. Kripaya ye aadhikarik nirdesh dekhein:
Android - https://support.google.com/android/answer/2521768?hl=en