- Honegain ke account ke liye kaise sign up karein
- Apna email kaise verify karein
- Windows par Honeygain kaise install karein
- Android par Honeygain kaise install karein
- macOS par Honeygain kaise install karein
- Docker par Honeygain kaise install karein
- iOS par Honeygain kaise install karein
- Honeygain install karne ke baad kya karein
Agar aapko shuru karne mein koi ushkil aa rahi hai, to yahan kripya ticket banakar Honeygain support team se zaroor sampark karein
Honegain ke account ke liye kaise sign up karein?
- Pehle, apne pasand ka web browser kholein. Hum macOS par Safari ka istemaal karenge, lekin registration karne ke steps sabhi platform par ek jaise hain.
- https://dashboard.honeygain.com/par jaayein
- Sign Up karein’ par click karein. Aisa karte hi aapko ek behad asaan sa registration form milega. Apna email daalein, ek surakshit password banayein aur ‘Sign up karein’ par click karein. Agar aapke paas coupon code hai, to aap use redeem kar sakte hain aur aisa karne ke liye " coupon code redeem karein "par click karein. Dhyaan dein, registration ho jaane ke baad aap coupon code ko redeem nahi kar paayenge. Maangi gayi jaankaari daalne ke baad se sign up karein par click karein.
- Sign up kar lene ke baad, aapko ek Dashboard dikhayi dega, jo ki shuruaat mein khaali hoga, lekin jab aap apne device mein Honeygain application set up karke kamai karna shuru kar denge, tab yahan aapko dikhai dega ki bees kaise kaam kar rahein hain aur aapne kul kitni kamai ki hai.
Apne email ko kaise verify karein?
- Aapko "maujooda balance" ke nicche dikhayi dega ki aapse apna email pataa confirm karne ko kaha jata hai. Toh chaliye ise karte hain. "Email confirm karein" ke button par click karein. Iske baad sabse nicche daayein kone mein likha aayega ki confirmation email bhej diya gaya hai.
- Apna email kholein. Jahaan "kripaya apna email verify karein" naam se aapko ek email milega. Ise kholein "Email ko verify karein" button par click karein.
- Apna email kholein. Jahaan "kripaya apna email verify karein" naam se aapko ek email milega. Ise kholein "Email ko verify karein" button par click karein.
- Iske bad, aapko bataya jayega ki aapka email verify kiya jaa chuka hai aur neeche daayein kone me iska confirmation dikhaayi dega.
Dhyaan dein: Agar yeh likh kar aata hai ki confirmation nahi ho paya ya aapse firse apna email verify karne ke liye kaha jata hai toh, bas apne Dashboard se log out karke log in karein, bhale hi aapne ise abhi-abhi verify kiya ho
Windows par Honeygain kaise install karein
- Pehle https://www.honeygain.com par jaayein aur Windows ke liye humara application download karein.
- Download poora ho jaane ke baad, Installer kholein. Kuch web browser mein downlaod poora hone ke baad apne aap hi Installer khul jaata hai.
- Installlation Wizard shuru hone ke baad, ‘Aage Badhein’ par click karein aur installation ke step poore karein.
- Kripaya ‘Istemaal se judi sharton’ ko padhein. Iske baad, "License Agreement mein di gayi shartein mujhe manzoor hain" dekhein, aur manzoori dene ke baad 'aage badhein' par click karein aur Honeygain Setup wizard ke steps poore karein. Agar aapko manzoor na ho toh kripaya use mazoori naa dein aur Honeygain installer ko band kar dein.
- Installation poora ho jaane ke baad, Intsall Wizard apne aap hi aapke liye Honeygain application khol dega. Iske baad Honeygain account mein log in karein aur agar aapke paas Honeygain account nahi hai toh ek naya account banayein. Sabse oopar daayin or user icon par click karein.
- Fir log in karne ke liye " Log in karein " button par click karein ya agar aapke paas abhi tak Honeygain account nahi hai toh "Ek account banayein" par click karein.
- Iske baad, aapse apne account ki jaankaari daalne ke liye kahaa jaayega
Android par Honeygain kaise install karein
- Halaanki Google Play Store (iske baare mein aur jaankaari aapkoyahan milegi) per koi Honeygain application nahi hai, islliye humein Honeygain ko khud download aur install karna hoga, lekin aap befikar rahein yeh karna behad asaan hain. https://www.honeygain.compar jaayein Aur Android ke liye humara application download karein.
- Kuch web browser mein aapko yeh nirdesh mil sakta hai ki Honeygain aapke device ko nuksaan panhucha sakta hai per darein nahi, humare application se aapke device ko koi nuksaan nahi hoga. Aisa karne ka hamaara koi iraada nahi hain. Yah .apk file download karte samay Android device per dikhne waali ek standard chetaavani hai.
- Download poora ho jaane ke baad, ‘Kholein’ per click karein.
- Agar aapne Google Play Store ke alaawa kabhi bhi internet par kahin aur se koi .apk download aur install nahi ki hai, to aapko yeh message mil sakta hai. Isme bas yah puchha jaata hai ki kya aap apne web browser ko internet se application install karne ke liye manzoori dete hain. Settings per click karein.
- Apne web browser se installation ko manzoori dein.
- Iske baad, aapse poochha jaayega ki kya aap Honeygain install karna chhahtein hain. Install per click karein aur uske baad installation poora hone ka intezaar karein.
- Bas ho gaya! Aapne apne Android device per Honeygain application install kar li hai. Yeh application kaise kaam karta hai, iska asaan tareeka jannne ke liye aap Honeygain kaise kaam karta hai par click karein, aur agar aapko pata hai ki yeh kaise kaam karta hai to iske baare mein jaankari ko skip karein.
- Agar aapka account humare paas hai to Sign up aur sign in karein par click karein aur agar nahi hain toh aap ek naye account ke liye sign up kar sakte hain.
- Aap notification bar mein dekh paayenge ki aapki aaj ki kamaai kitni hai aur kul kamaai kitni hai.
macOS par Honeygain kaise install karein
- Mac App store kholein ya bas yahan click karein.
- Honeygain khojein ya agar aapne link per click kiya hai toh Honeygain Mac App Store page aayega. Pehlee ‘Paayein’ aur ‘Install Karein’ par click karein. Chunki Honeygain pehlee se hi is Apple account mein maujood hai isliye, hum pehlee ‘Download Karein’ par aur fir ‘Kholein’ per click karenge.
- Aapko humaari ‘Istemaal se judi shartein’ dikhayi dengi. Kripaya ise padhein aur agar aap inse sehmat hain to hi ‘Main sehmat hun’ per click karein.
- Bas ho gaya! Aapne apne macOS device par Honeygain application ko install kar liya hai. Yeh application kaise kaam karta hai, iska asaan tareeka jannne ke liye aap Honeygain kaise kaam karta hai par click karein, aur agar aapko pata hai ki yeh kaise kaam karta hai to iske baare mein jaankari ko skip karein.
- Hum "launch hone par shuru hone ka feature" enable karne ka sujhaav dete hain. Is se aap jab bhi apne macOS device ko restart karenge to hamaari application bhi shuru ho jayegi. Iske baad ‘Shuru karein’ per click karein.
- Log in karein’ per click karein aur agar aapka account hamaare paas nahi hai toh ‘Sign up karein’ per click karein.
iOS par Honeygain kaise install karein
- App store kholein aur Honeygain khojein
- Pehlee ‘Paayein’ aur ‘Install Karein’ par click karein. Chunki Honeygain pehlee se hi is Apple account mein maujood hai isliye, hum pehlee ‘Download Karein’ par aur fir ‘Kholein’ per click karenge.
- Aapko humaari ‘Istemaal se judi shartein’ dikhayi dengi. Kripaya ise padhein aur agar aap inse sehmat hain to hi ‘Main istemaal karne ki sharton se sehmat hoon’ par click karein.
- Shuru karein par click karein
- Bas ho gaya! Aapne apne iOS device per Honeygain application install kar liya hai! Apne account mein log in karne ke liye sabse upar daayin aur diye gaye ‘Log in karein’ ke button per click karein.
Honeygain install karne ke baad kya karein
Apne kisi bhi device par Honeygain application install karne ke baad, pakka karein ki aapka device internet se juda hai, application khula hai, aur apne device ko zyadatar waqt chaaloo rakhne ki koshish karein. Honeygain application puri tarah se autonomous hai aur aap daily device ke istemaal ke dainik divais upayog mein hastakshep kie bina intaranet baindavidth ko svayan saajha karega.