Jab aap JumpTask mode mein switch karte hain, toh sirf wo credit JumpToken me badal jaayenge ya yahan JumpTask dashboard par dikhaai denge, jo aapne is mode par aane ke baad kamaaye hain.
Iska matlab hai ki pehle ikkatha kiye gaye Honeygain credit ko JumpTask Wallet mein transfer nahi kiya jaa sakta hai.
Agar aap apne Honeygain wallet ke $20 ki payout seema ke nazdik panhuch gaye hain, toh hum do samadhaano ka sujhaav dete hain:
1. Payout seema tak panhuchne tak default Honeygain mode par bane rahein aur payout karein. Payout karne ke baad, JumpTask mode par switch karein (haan tabhi jab aapko isme dilchaspee ho!)
2. Apne Honeygain wallet me payout seema ke nazdik hone ke bawjood JumpTask mode mein switch karna. Maujuda samay mein, JumpTask mode aapko JumpTokens mein bonus ke taur par 10% zyada kamai deta hai, isliye is mode mein kamai, defalut Honeygain mode ke mukaable zyada tezi se ho paati hai. +10% offer khatam hone ke baad, aap fhir se Honeygain mode par switch karke payout kar sakte hain, saath hi aapke JumpTask wallet mein aache khaase raashi mein JumpTokens honge, Jinhe aap fhirse JumpTask mode par switch karne ke baad ikkathe karna jaari rakh sakte hain. Dono taraf se faayda, hai naa?
Saath hi, is par bhi dhyaan diya jana chhahiye ki JumpTask mode istemaal karne ke samanya taur par bhi kai fayade aur labh hain. Aap yahan humare lekh mein unke baare mein aur padh sakte hain.