Honeygain mein JumpTask mode laaye jaane ke kuch anokhe faayde hain jis se ise istemaal karne ka matlab badh jaata hai.
Sabse aham faayde mein se ek yah hai ki payout ka anurodh karne ke liye ab aapko $20 ki payout seema tak pahunchne ki zaroorat nahi hai. JumpTask mode par aake ikatthaa kiye gaye sabhi credit JumpTokens mein badal jaayenge aur aapke JumpTask wallet mein jud jaayenge.
Iske sath hi, maujooda samay mein JumpTask mode ka istemaal karne ke dauraan aapki kamai mein +10% badhat hui hai, jiska matlab hai aapko apni kamai ka 10% zyaada milta hai (isme Lucky pot ka inaam aur referral se hone wali kamai shaamil hai). Jaise ki agar aapne 100 credit kamaye hain toh aapko is bonus ki wajah se 110 credit milenge.
JumpTask mode chaalu rahne ka ek aur zaroori faayda yah hai ki transaction ka shulk pehle se kam ho jaayega. Honeygain par aapke kamaye gaye sabhi credit JumpTask wallet par transfer ho jaayenge jisme sirf blockchain ka gas shulk lagega. Aap humesha ki tarah aaram se kamaayi karte rahenge lekin aapki kamaayi ab aapke JumpTask wallet mein JumpTokens ke taur par shaamil hogi aur shulk humesha ekdum kam-se-kam rakhe jaayenge.
Aakhiri, lekin zaroori – instant payout. Pehle, aapne PayPal payout ke process hone ke liye 2–3 kaamkaaji dino tak intezaar kiya hoga. Payout ke process ke dauraan transaction ka shulk bhi laagu hua hoga. Jaise ki Bitcoin blockchain mein transaction ki bhaari sankhya aur load ki wajah se aapne Bitcoin ke liye ek hafta ya aur bhi zyada intezaar kiya hoga. Iski wajah se kabhi-kabhi aapko apne anurodh se kam paise milte hain, kyunki Bitcoin ki keemat ghat jaati hai. JumpTask mode ke sath aapko yah dikkat kabhi nahi hogi: aap jo credit kamate hain, unhe JumpTokens ke taur par seedha aapke JumpTask wallet me bhej diya jata hai, jis se aapko apne payout ke liye lamba aur tanav bhara intzaar nahi karna padta hai.