Docker ek aisa software hai, jis se kisi software ko ek alag mahaul me chalaya jaa sakta hai, ise container kahte hain. Docker ek multiplatform software hai, ise Windows, macOS aur Linux par istemal kiya ja sakta hai. Abhi yeh sirf x86/x64 architecture processors ko support karta hai. Agar aap Docker ke bare me nahi jantein, toh zyada jankari ke liye aapko unki website aur documentation dekhne chahiye.
Docker par Honeygain ko set up karna aur istemal karna aasan hai, issliye hum Docker ko istemal karne ke bare me zyada jankaari nahi denge, lekin hum aapko kuch tarkeeb batayenge, jis se aap Docker ke zariye Honeygain ka behtar anubhav le payenge.
- Docker install ho raha hai
- Honeygain Docker ki image chalaana
- System restart hone par auto-start chalu karna
- Background me Docker container ko chalana
- Background me Honeygain Docker container ka istemaal karna aur restart hone par auto-start ke feature ko chalu karna
- Error: "Docker daemon socket se connect karne ki ijaazat nahi mili..."
- Honeygain Docker container par content delivery
- ARM par Honeygain Docker container
Docker install ho raha hai
Docker ko uski official website yahanse download aur install kiya ja sakta hai. Jis operating system par aap Docker install karna chahte hain, bas us par click karein aur nirdeshoon ka paalan karein.
Honeygain Docker ki image chalaana
Jab aap apni host machine par Docker install kar lenge, to hum apne official Docker Hubse Honeygain ki image laakar, us se shuru kar sakte hain. Aap har ek network par, ek device par ek Honeygain Docker container chala sakte hain. Hamare Docker Hub par padhkar, aap Honeygain Docker image ko chalane ke tareeke aur iski aur jankari pa sakte hain. Lekin agar aap Honeygain Docker image ka pura documentation nahi padhna chahte hain, toh yahan Docker par Honeygain ko istemal karne ka tereeka, sankchhep me bataya gaya hai.
- Docker image
docker pull honeygain/honeygain
Pull karein - Honeygain ke Istemal Ki Shartein kholein. Agar aapko hamari Istemal ki Shartein manzoor hai, toh kripaya jaari rakhein.
docker run honeygain/honeygain -tou-get
- Honeygain Docker container
docker run honeygain/honeygain -tou-accept -email ACCOUNT_EMAIL -pass ACCOUNT_PASSWORD -device DEVICE_NAME
shuru kareinACCOUNT_EMAIL ki jagah apne Honeygain account ka email daalein.
ACCOUNT_PASSWORD ki jagah apne Honeygain account ka password daalein
DEVICE_NAME ki jagah apne Docker container ke liye koi naam likhein. Yeh naam dashboard par dikhai dega.
Dhyaan dein: Aap joh bhi container banayein, unke liye alag-alag DEVICE_NAME ka istemal karein.
System restart hone par auto-start chalu karna
Auto-start (agar aap apne device ko restart karte hain, to Docker apne-aap Honeygain container ko chalu kar dega) ke sath Honeygain Docker container ka istemal karne ke liye, is command ka istemal karke Honeygain container ko chalaayein:
docker run --restart unless-stopped honeygain/honeygain -tou-accept -email ACCOUNT_EMAIL -pass ACCOUNT_PASSWORD -device DEVICE_NAME
Agar aapke pass pahle se hi ek active aur istemal kiya ja raha Honeygain container hai, toh aap is command ka istemaal karke use update kar sakte hain, taki agli bar restart hone par vah apne-aap shuru ho jaye:
docker update --restart unless-stopped CONTAINER_ID
CONTAINER_ID ki jagah koi unique Honeygain container id likhein. Aap is command ko chalaane wali Container ID dekh sakte hain:
docker ps -a
Is se aapke device par maujood sabhi active aur inactive container saamne aa jayenge Sirf active container dekhne ke liye is command ka istemal karein:
docker ps
Background me Honeygain Docker container ka istemal karna
Agar aap Honeygain Docker container ko background me istemal karna chaahte hain, aur chaahte hain ki Terminal window ko lagaatar khol kar na rakhna pade, toh aap docker ke shuru hone ke baad -d flag jod kar container ko detached mode me istemal kar sakte hain:
docker run -d honeygain/honeygain -tou-accept -email ACCOUNT_EMAIL -pass ACCOUNT_PASSWORD -device DEVICE_NAME
Agar aap pahle se kisi container ka istemal kar kare hain, jise aap background me istemal karna chaahte hain, toh apko use kill (Ctrl + C se aisa kar sakte hain) karna hoga aur fir is command ka istemaal karna hoga:
docker run -d CONTAINER_ID
CONTAINER_ID ki jagah koi unique Honeygain container id likhein. Aap is command ko chalaane wali Container ID dekh sakte hain:
docker ps -a
Is se aapke device par maujood sabhi active aur inactive container saamne aa jayenge Sirf active container dekhne ke liye is command ka istemal karein:
docker ps
Background me Honeygain Docker container ka istemaal karna aur restart hone par auto-start ke feature ko chalu karna
Background me Honeygain Docker container ka istemal karne aur system restart hone par auto-start hone ke feature ko chalu karne ke liye, ye command istemal karein:
docker run -d --restart unless-stopped honeygain/honeygain -tou-accept -email ACCOUNT_EMAIL -pass ACCOUNT_PASSWORD -device DEVICE_NAME
Error: "Docker daemon socket se connect karne ki ijaazat nahi mili..."
Agar aapko koi error message mila hai, jisme likha hai " Docker daemon socket se connect karne ki ijaazat nahi mili… " to sudoka istemaal karke Docker ko superuser ke taur par laagu karein:
sudo docker ...
Honeygain Docker container par Content Delivery
Filhaal humare Docker containers par Content Delivery uplabdh nahi hain, haalanki, hum bhavisya mein ise laa sakte hain.
ARM par Honeygain Docker container
Is samay ARM adhaarit processor ke liye support laane ki koi yojana nahi hai. Isliye, filhaal Raspberry Pi jaise chhote PC par Honeygain run kar pana mumkin nahi hai.
Agar aapko Docker par Honeygain setup karne ke dauraan koi samasya ya dikkat aati hai, toh kripaya yahaniss form ke zariye humse sampark karein.