Dhyaan dein: ABHI IS SETUP KE LIYE AADHIKAARIK TAUR PAR KOI SUPPORT NAHI DIYA JAAYEGA! AGAR INSTALLATION AUR SET UP PROCESS KARNE KE DAURAAN AAPKO KISI WAJAH SE KOI SAMASYA AATI HAI, TOH HONEYGAIN SUPPORT TEAM AAPKI SAHAAYATA NAHI KAR PAAYEGI
Apne Chromebook par Honeygain install karne ke do tarike hain:
Baad wala tareeka thoda pechida hai, lekin isase aap Chromebook ke mazboot version ka istemaal kar paate hain, halaanki, sabhi Chromebook Linux ADB debugging ko supoort nahi karte hain.
Vikalp 1: Developer Mode chalu karna
Yeh process bahut asaan hai lekin yeh aapke poore internal data (power-wash) ko mita deta hai, isliye yeh pakka kar lein ki aapne internal storgae ke zaroori aur mahatvapoorn data ko back up kiya ho. Zyadatar jaankaari aur setting transfer ho jaayegi kyunki vah aapke Google account (app, setting, preferences vagairah) ke sath sync ki hui hain.
Kripaya dhyaan dein: Developer Mode mein jaane ke liye, milne wale nirdesh device ke hisaab se alag-alag ho sakte hain, haalanki yeh process ek jaisa hona chhahiye aur Chromebook kuch had tak aapko nirdesh dega, lekin agar aap pakke taur par nahi jaante ya nahi kar paate hain toh Chromebook ke baare mein aur nirdesh paane aur developer mode mein jaane ke liye kripaya niche di gayi list dekhein:
https://www.chromium.org/chromium-os/developer-information-for-chrome-os-devices
Developer mode mein jaane ke liye:
- Apne Chromebook ko band karein
- Chromebook ko chaalu karte samay ESC+refresh (F3) key dabayein
- Is se ek screen aayegi jisme device mein aapse poochha jaayega ki kya aap verification band karna chhahte hai (developer mode mein jaane ke liye), ENTER dabaye, iske restart hone ke baad system aapse puchega ki kya verification chalu karna chhahte hain.
Dhyaan Rakhein: Agar aap space dabayenge toh verfication chaalu ho jaayega aur Is se developer mode band ho jaayega. Developer mode ko chaalu rakhne ke liye jab bhi device chaalu ho tab aapko CTRL+D dabaakar us screen ko chodkar aage bhadna hoga.
Jab aap developer mode mein aa jaayenge to apne Chromebook ko is tarah se set up kar payenge jaise ki naye Chromebook me karte hain, ismein account ki jaankaari, praathmiktaayein aur anya setting kar paayenge. Ab bas aapko Honeygain APK file kholni hai, jo aap humari aadhikaarik website yahanse hamesha download kar sakte hain aur installation poora kar sakte hain.
Vikalp 2: Linux install karna aur ADB debugging chalu karna
Aapko apne Chromebook par Linux install karna hoga, yeh step kaafi asaan hain aur kuch users yeh chaalu kar bhi chuke hain. Iske liye aapko naa to Developer mode me rahna hoga, naa hi Developer Channel mein jaana hoga.
- Settings khole
- Baayeen or aapko navigation bar aur ‘Linux (Beta)’ ka vikalp dikhayi dega
- Is section mein aapke paas apne Chromebook me Linux infrastructre ko ‘Chaalu karne’ ka vikalp hoga, Isme kuch minute lag saktein hain, lekin set-up ka process seedha hai
- Linux (Beta) install karne ke baad, iss section mein chun ne ke liye kuch vikalp diye gaye hain, hum jo dhund rahe hain vah hai ‘Android Apps Develop karein’- iss par click karein
- Us menu mein, ab aap ‘ADB debugging ko shuru karein’ ko toggle kar sakte hain- ise chaalu karein.
- Yahan yeh thoda aur pechida ho jata hai, aapko Terminal ko chaalu karna hota hain (bas apne Chromebook apps me khoj kar
- Yeh command daalkar ADB platform-tool install karein:
sudo apt install android-tools-adb -y
- Install ho jaane ke baad, aapko yeh command daalkar Linux ko Android system se connect karna hoga:
adb connect 100.115.92.2:5555
Yaad rakhein: Zaroori hai ki yeh karte waqt aapka internet se connection banaa rahe. Agar terminal inme se koi ek dikhata hai; "Ijaazat nahi mili" ya "Command nahi mila", toh command ko run karne ki koshish karein aur step 8 ko fir se aazmaein: adb start-server - Ek window pop-up hokar aayegi, jispar likha hoga "USB debugging ki ijaazat dena chaahte hain?". "Iss computer ko hamesha ke liye ijaazat dein" par tick karein aur "Haan" par click karein.
- Hamari official website yahan se Honeygain APK download karein aur use apne File Manager ke is folder mein le jayein: Linux file (yeh aapki 'My Files' ke sub-folder me hona chahiye)
- Iske baad, fir se terminal ko kholein aur command type karein:
adb install honeygain_app.apk
- Bas ho gaya! Aapke paas ab baki Android apps ke saath Honeygain bhi hona chahiye!
Yeh app Linux container ki bajaaye Android Run Time par kaam karta hai, jis se iski performance Play Store se install kiye gaye baki app se milati-julti ya unke jaisi hi honi chahiye.
Kripaya dhyaan dein: Kuch Chromebook me, Linux (Beta) menu me ‘Android App Develop Karein’ ka section nahi hai. Aisa ho sakta hai ki un steps (step 4 aur 5) ke bina bhi ADB debugging chalu ki ja sake, lekin aisa apne jokhim par karein, kyunki Chromebook ke kuch nirmaata kayi anjaan wajahoon se yeh feature nahi de rahe hain. Isliye Vikalp 1 ek asaan samadhaan hai, lekin aapko apni Chromebook ko power-wash karna hoga.