Haalaanki VPN ke istemaal ki sakht manahi nahin hai, aapko Honeygain ke saath VPN istemaal karte waqt jokhimon ko dhyaan mein rakhna hoga.
VPN pradaataon dvaara upayog kie jaane vaale zyadatar server aapko data center prakaar (DCH) IP address, jiski anumati Honeygain nahin deta hai jiski wajah se aapka account suspend ho sakta hai. Iske alava agar koi user uss IP address par Honeygain ke saath VPN ka istemaal karta hai to aapka account bhi suspend kar diya jayega, kyonki wo IP address un sabhi account ke liye registered hoga jo iska istemaal kar rahe hongen.
Kul milaakar, ek VPN ka istemaal karke aap apne account ko suspend karane ka jokhim utha rahe hain, khaas kar agar end-point IP address ka istemaal ka kism DCH hai. Isliye ham Honeygain ke saath VPN ka istemaal karne ka sujhaav nahin dete.
Kripya dhyaan den ki agar aapne galti se Honeygain ke saath thodi der (kuchh minute) ke liye VPN ka istemaal kiya hai, to chinta ki koi baat nahin hai. Ham jaante hain ki ye jaanboojh ke nahin kiya gaya tha aur isliye aapka account suspend nahin kiya jayega.