HAC ka matlab Honeygain Anti-Cheat hai - ek automated system jo un users ki pehchaan karne ke liye design kiya gaya hai jo Honeygain application mein herapheri karte hain ya galat harkatein karte hain taaki wo zaroorat se zyada galat tarike se kama paayein. Agar koi Honeygain user yeh sab karte hue pakda jaata hai, to HAC system apne aap hi unke account ko suspend kar deta hai.
HAC un sabhi mamlon ka pata lagaata hai jab Honeygain users un tareekon ka istemaal karke dhokha dete hain jinke baare mein system jaanta hai. Kisi bhi tarah se aaplication mein hera pheri karna ya aisa kuch karna jo users ko kisi bhi tarah ka galat faida pahunchaye aur unhen zaroorat se zyada credit kamane de to wo HAC ko account ko suspend karne ke liye kaafi hota hai.