Android ke lie Honeygain application pehle Google Play store par download ke liye uplabdh tha - haalaanki, baad mein app ke praathamik uddeshya ko galat samajhne ki wajah se galat tareeke se hata diya gaya tha.
Google ke Developer program, Device and Network Abuse policy, ke hisaab se “apps jo third party ko proxy service ki suvidha dete hain, wo apps bas un apps ke andar hi aisa kar sakte hain jahaan yeh app ka praathamik, user facing mukhya uddeshya hai.” Honeygain 2019 mein apne shuruaatee launch ke baad se hi yahi kar raha hai: application apne users ko apne internet bandwidth ko share karne, traffic proxy ban ne mein madad aur uske liye kamane ka avsar de raha hai.
Par phir bhi, Google app ko dhang se samajhne mein nakaamyaab raha aur apamaanajanak vyavahaar ko rokne ke bahaane ise block kar diya. Yeh shayad is liye hua hoga ki Honeygain iss tarah ka pehla application tha, aur Google ke reviewers ke liye bilkul naya tajurba kyonki unhone pehle aisa kuch bhi dekha nahin hoga. Us samay unhone kabhi bhi aisi anokhi cheez shayad suni na ho ki apni internet bandwidth apni marzi se kamaane ke liye share ki jaa sakti hai.
Ek baar Honeygain ko Play Store se hata diye jaane ke baad, humne ye samajhne ke lie seedhe Google se sampark kiya ki in mushkilon se kaise nipta jaye. Hamne apne app ka moolyaankan karane ke lie aur behtar tareeke se review ke liye third-party audit company ko kaam par rakhne ya yahan tak ki Google ko apna code tak dene ke liye raazi the. Afsos is baat ka hai ki Google ne baat karne mein koi khaas dilchaspi nahin dikhaai. Humein bas template waley jawab miley jo na sirf kuch bhi khulaasa nahin karte the balki galatfahmi ko door karne mein bekaar rahe.
Mazedaar baat to yeh hai ki September 2021 mein jab hamne Honeygain iOS launch kiya tha, tab hamein Apple ke App Store ke saath koi dikkat nahin hui- aur Apple suraksha ko kitna aham samajhta hai ye to sabko pata hi hai. Iske Alawa, Humein Google ke Playstore par Honeygain ki nakal karne waley kai nakli apps ke khilaaf kanooni karvaai karni padi, kyonki Google ne khud in galat apps ke khilaaf koi bhi kaarvai nahin ki.
Google se lagataar baatcheet ki koshish ka koi nateeja nahin nikla to hamne tang aakar chod diya, aakhirakaar, Play Store hamare application ko vitarit karne ka kai stroton mein se bas ek tha, aur hum bina unke saath ke bhi Honeygain community ko lagataar badhaane mein kaamyaab rahe (sahi bolen to, kaafi zyada achhe se). Iss samay, Honeygain Android hamare aadhikaarik website ke alaava sabhi jane mane Android stores par paaya ja sakta hai.