Achievements ek aisa gamification mechanic hai jise aapki passive income ko jyada mazedaar banane ke liye banaya gaya hai. Ve aapke dwara dekhi jane wali aam achievements se bahut alag nahin hain, udaharan ke liye, video games, jahan aapko kuch specific task aur objectives ko poora karne ke liye reward diye jate hain.
Honeygain par yahan teen tarah ke rewards hain jinhen aap web dashboard par dikhaye gaye tasks ko pura karke haasil kar sakte hain:
- Stickers - aesi choti images/badges jo aapki achievements ko dikhate hain. Jo aap social media post par ya kahin aur bhi istemal kar sakte hain.
- Streaks -ye rewards har din kisi khaas kaam ko baar-baar karne par based hote hain. Udaharan ke liye, Lucky pot kholna. Jitni jyada baar aap ye kaam karte hain (jo zyada badi streaks par hote hain), utna hi bade rewards aapko milenge.
- Credits -Ek tarah se khud apni vayakhaya karne wale hote hain. Kuch achievements credit ke roop mein prapt hote hain, jo ek majedar twist ke sath aapki puri income ko badhate hain.
Reward paane ke liye aapko kya karna chahiye ke bare mein har achievement ke niche nirdesh diye gaye hain. Ek bar jab aap diye gaye kaam ko poora kar lete hain, to aapko reward milega.
Achievements ko istemal karna zaroori nahin hai. Aap ismein bhag lekar inhein ikattha karne ki koshish karna chahte hain ya nahi- yh poori tarah se aap par nirbhar karta hai.
Abhi, Honeygain ke dashboard par jo achievements available hai ve desktop devices par dikhai deti hain. Bhavishya mein Honeygain ki achievements Android version ke sath pesh ki jayengi."