Haal hi mein, Honeygain par Bitcoin (BTC) payout band kar diye gaye hain. Haalaanki isse kuch asuvidha zaroor hui hogi par aage ke shodh aur pareekshan he hisaab se iss kaarvaai ke faide iske nuksaan se kahin zyada the.
is nirnay ka mool kaaran BTC blockchain se hi juda hua hai. Kaafi samay se hi blockchain har din kaafi zyada bhari maatraon mein hone waley len den se overloaded tha. choonki blockchain unhen process karne mein kaafi slow hai aise kamon ko poora hone mein zyadatar lamba samay lagta hai. Kyonki ye masla apne aap mein hi vaishvik, hai isliye Honeygain ke liye bhi kuch alag nahi hai.
Hamari ore se BTC payouts manual tareeke se, kiya ja raha tha aur aapko aapki kamai gai raashi bhejne ke liye kai baar koshish karni padti thi taaki wo chali jaye. Pehle se hi kaafi zyada bhare hue blockchain aur saath mein iss wajah ko milakar transferring ka waqt kaafi zyada badh gaya aur BTC payout ka intezaar ka samay " ek hafte ke andar ". isake alaava, choonki cryptocurrency market kaafi zyada oopar nicche hota rahta hai, samay ke dauraan daam mein kaafi zyada badlaav aa sakte hain aur final payout ki raashi jo aapko milegi wo kaafi alagho sakti hai, jo kaafi nirashajanak ho sakta hai.
Jaisa ki bataya gaya hai, choonki BTC payout manual tareeke se kiya gaya tha, ek-ek karke, isane aapake batue tak bhugataan ke lie prateeksha samay ko aur badha diya, jisase niraasha aur asuvidha huee. In payouts ko manual tareeke se kie jane ki ek wajah yeh bhi hai ki hamein milne waley itne saare payout anurodhon ko sambhaalne ka koi automation solution nahin hai aur un chote mote payouts ko bhi.
Seedhe shabdon mein kahen to, badi rashiyon waley kam transaction ke liye samadhaan hai par hamare mamle mein– badi sankhya mein kam rashiyon waley transactions ke liye no viable solutions available for our case – large quantities of transactions that are koi bhi sahi samadhaan nahin hai.
BTC blockchain par kisi bhi transaction ko prathamikta di ja sakti hai, par ispar kaafi zyada transaction fees lag sakta hai jisse ki aapko jo bhi finak pau=yut milega uspar fark pad sakta hai. Isko dhyaan rakhte hue, processing karne ka samay bas zara sak kam hoga, haalaanki transactions ki keemat khud mein kahin zyada badh jayegi.
Haalaanki, BTC payouts band hone ke saath, Crypto ka upayog karke payout karne ki bhi jungaish rahti hai. JumpToken payout tareeke ke taur par chun kar, aapko koi bhi fees nahin deni padegi kisi bhi tarah ki aur transactions lagbhag jhatpat ho jayega, haalaanki BTC payouts ke liye transaction fees deni padti hai aur kaafi samay intezaar bhi karna padta hai.
Kul milaakar, avaruddh blockchain, automation samaadhaanon ki kamee, aur aapke wallet tak Bitcoin payouts ke liye kaafi zyada samay tak intezaar karna wagairah jaise vaishvik mudde, BTC payouts ko band karne ka nirnay lene ki wajah the. Asaan hone ki bajaay yeh hum dono, yani ki aap - hamare users, aur Honeygain team - ke liye kaafi mushkil aur pareshani se bhara ho gaya.