Swarmbytes bade paimaane ke users ke liye ek samadhaan hain jinke paas bahut saare IP addresses (10+) hain.
Is tarah ke samadhaan ki shuruwaat, ek tarah se, sabhee Honeygain user samudaay ko do alag-alag samoohon mein alag karte hain - samaanya Honeygain user aur Swarmbytes users. Yeh is liye kiya gaya hai ki zyadatar Honeygain users apne account mein 10 se kam devices ka istemaal karte hain, is tarah, bade paimaane par istemaal karne waale users, jinke paas zyada devices hain, un sabhi regular users ki kamaayi par kaafi had tak asar daalte kyonki zyada Devices ki wajah se un accounts par bahut zyaada traffic hota hai. Is tarah ke faisle ka, maksad hota hai, samaanya Honeygain user ke liye traffic distribution mein sudhaar - zyaada kamaai ki sambhavna aur Swarmbytes users ke liye sthir kamaayi (kyonki unhein har IP share karne par fixed rate milta hai).
Ek user ke taur par aapke liye iska kya matlab hai?
1st of March, 2021 se har Honeygain account ke liye active devices ki seema 10 devicestak set ki gayee hai. Aapke paas abhi bhi 10 se zyada devices connected ho sakate hain, lekin infrastructure ek samay mein 10 se zyada devices ka istemaal nahin karega: baaki devices band pade rahengen. Saath hi, kripya dhyaan den ki har IP address par ek device ki seema hi hai.
Agar aapke Honeygain account mein 10 ya usse kam devices on your Honeygain account: aapko kuch bhi karne ki zaroorat nahin hai! Accha kaam karte rahen aur kamaee ka maza len!
Agar aapke Honeygain account par 10 ya adhik device hain aapko Swarmbytes website ke zariye Swarmbytes account ke liye apply karna hoga. Kripya dhyaan dein ki yeh samadhaan un users ke liye hai jinke paas badi sankhya mein (100+) IP addresses hain.
Aap Swarmbytes ke baare mein zyada jaankari hamare blog post yahan aur Swarmbytes websitepar praapt kar sakate hain.